Qaid-e-Ishq
Ek sheher hai - Kashi jahan ghante dua maangte hain aur andhere apna haq. Wahin kahin, zameen ke neeche ek pinjra tha jismein ek ladki ne zindagi seekhi jeena nahi Uska naam Advika Shrivastava hai Paida hote hi qaid, aur qaid hi uski pehchaan Usne khwaab nahi dekhe - sirf darr pala hai azaadi uske liya kahani hai, aur pyaar... ek aisa shabd jiska matlab kabhi samjha hi nhi. Phir aata hai ek din, jab pinjra nhi tha ek shant awaz thi Neel Upadhyay ek aisa ladka jo dard mehsoos nahi karta tha. Na shareer ka, na dil ka. Ye kahani hai... ek masoom qaid aur ek be-ehsaas azadi ki hai Qaid-e-Ishq shuru hoti hai yaha se....

